KHATAA.....JISKI SAJAA TUM HO !!
Kuchh aisi khataa karna chahe ye dil,
Jiski sajaa tum ho !
kin alfaazon me bayaan kar doon,
Ab jine ki wajah tum ho !!
Jo kat jaate hai din teri yaadon me,
Wo jindgani meri tum ho !
Na soya na jagaa bas socha karu mai,
Wo anokhi kahaani tum ho !!
Bhavaron ki tarah mandrata firoon mai,
Baago me bikhari paraag tum ho !
Van upvan me khoje tumhe manchala,
Jo mann ki muraad tum ho !!
Khwaabon me tumse jo ijhaar mai kar du,
Jo sharmaye wo nain tum ho!
Jo has padu mai neendon ke pahar me,
Ab raaton ki chain tum ho !!
Dikh jaati ho mujhe har taraf jo,
Wo khuli gagan tum ho !
Udna jo chahoon main teri gati me,
Wo bahti pawan tum ho !!
Mil jaye khushi mujhe teri hasi me,
Na mujhse juda tum ho !
Dhadkano par hai jo raaj tumhara,
Ab mere khuda tum ho !!
Kuchh aisi khataa karna chahe ye dil,
Jiski sajaa tum ho !
Kin alfaazon me bayaan kar doon,
Ab jine ki wajah tum ho !!
===========The Beginning=============
Kuchh aisi khataa karna chahe ye dil,
Jiski sajaa tum ho !
kin alfaazon me bayaan kar doon,
Ab jine ki wajah tum ho !!
Jo kat jaate hai din teri yaadon me,
Wo jindgani meri tum ho !
Na soya na jagaa bas socha karu mai,
Wo anokhi kahaani tum ho !!
Bhavaron ki tarah mandrata firoon mai,
Baago me bikhari paraag tum ho !
Van upvan me khoje tumhe manchala,
Jo mann ki muraad tum ho !!
Khwaabon me tumse jo ijhaar mai kar du,
Jo sharmaye wo nain tum ho!
Jo has padu mai neendon ke pahar me,
Ab raaton ki chain tum ho !!
Dikh jaati ho mujhe har taraf jo,
Wo khuli gagan tum ho !
Udna jo chahoon main teri gati me,
Wo bahti pawan tum ho !!
Mil jaye khushi mujhe teri hasi me,
Na mujhse juda tum ho !
Dhadkano par hai jo raaj tumhara,
Ab mere khuda tum ho !!
Kuchh aisi khataa karna chahe ye dil,
Jiski sajaa tum ho !
Kin alfaazon me bayaan kar doon,
Ab jine ki wajah tum ho !!
===========The Beginning=============